Showing posts with label tery beger es zindgi. Show all posts
Showing posts with label tery beger es zindgi. Show all posts

9/11/2013

urdu design poetry



Tere baghair Es zindagi ki ham’man zarurat nahi,
Tere siwa ham’man kisi or ki chahat nahi,
Tum he rahoge humesha mere dil main,
Kisi or ko Es dil main aane ki Ejazat nahi
-------------------

alfaz k johte bandan
---------

yon jazb kar liya hi 
-------------------------


Bhulney waley se koi kah de zara.
Istara yaad aney se kiya faida.
Jab mere dil ki duniya basatey naheen.
Phir khayaloon main aney se kiya faida.
Chaar din k jalaney se kiya mil geya.
Mitt saka na zamaney se mera nishaan.
Muj pe bijli gerao to jane sahi.
Aashiyaan pe gerane se kiya faida.
Tue ne musa ko nahaq taklif de.
Lutf ata agar yaad kartey hameen.
Jin ki nazroon man taab_e_nazara nahen.
Un ko jalwa dekhaney se kiya faida.

-----------------
--

Hamd-baari ta'aala
~~~~~~~~~~~~~
WOHI TAU HAY JALLA JALAALO HU
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi baaNte rahmataiN chaar soo, haiN usi ki naemataiN chaar soo
Wohi tau hay jalla jalaalo hu, Wohi tau hay jalla jalaalo hu

Meri laGhzishoN ka shumaar kya, maiN Khata sarisht Khata sraa
Kabhi shukr kar na saki adaa, Wo nawaazta hi rha sadaa
HaiN usi ki baKhshishaiN koo ba kaoo , Wohi tau hay jalla jalaalo hu

Wohi patharoN ko hayaat de, wohi paanioN ko de ziNdagi
Wohi soorajoN ko de roshni, wohi khushbuoN ko de taazgi
wohi ronaqaiN kare soo ba soo, Wohi tau hay jalla jalaalo hu

Mujhe us ne husn-e-byaaN diya, Mujhe aagahi ka jahaaN diya
Mujhe azm-o-shauq-e-jawaaN diya, mujhe manziloN ka nishaaN diya
Wohi sh'aoor ko justaju, Wohi tau hay jalla jalaalo hu

Mujhe taab-e-mad'H ataa huwi, Meri bigRi baat saNwar gyi
Na rhi khyaal maiN teergi, hui us ki hamd se roshni
Ye sanaa thi Aashi ki aarzu, Wohi tau hay jalla jalaalo hu
--------------


Is Dunia Main Wafa Karnay Walon ki Kami Nahi Hai,
Bus Pyar Hi Us Say Ho Jata Hai Jo Bewafa Ho,
 —
--------------------

koi gila na koi shkwa
---------------

in.
abhi taroon k karvaan chaly hain.
abhi hawa ny aanchal lehraya hy..
abhi chaand ny chehra dekhaya hy.
kuch wasal ki bat hony do.
chalo aadhi raat hony do.
is dil ko beqarar hona hy.
tb aankh ny meri sona hy.
phir raat chaly gi baat chaaly gi.
phir yadoon ki barat chaly gi .
phir khawab nagar mei besara hoga.
phir subha talak TU mera hoga.

----------------------


Jab Bhi Milta Hay Ak Zakham Naya Deta Hay
Kuch Is Tarah Meri Wafaon Ka Sila Deta Hay

Yon Tu Meri Aankhon Say Usay Pyaar Bohat Hay
Jab Bhi Jee Chahay Us Main Ashk Saja Deta Hay

Khud Ko Ganwa Kar Usay Main Nay Paya Hay
Is Baat Ki Bhi Wo Mujh Ko Saza Deta Hay

Wo Jo Ak Shaks Meray DIL Pay Raaj Karta Hay
Kabhi Hukum Deta Hay Marnay Ka, Kabhi Jeenay Ki Dua Deta Hay

Gila Jo Karon Us Say Be Rukhi Ka Main
Khud Hansta Hay Or Mujh Ko Rula Deta Hay

------------