9/16/2013

*Meri Zindagi ki kitaab wo*


*Meri Zindagi ki kitaab wo*

Meri zindagi ki kitaab wo
Mere har sawal ka jawab wo

Men usse parhoon tamaam umar
Meri hayat ka nisaab wo

Meri har dua uss ke liay
Meri ibadaaton ka sawaab wo

Men saara din ussi men magan
Meri har raat ka khawaab wo

Likhoon aur kya men uss ki zaat per
Meri zindagi ka rubaab wo.

---------

No comments:

Post a Comment