*Meri Zindagi ki kitaab wo*
Meri zindagi ki kitaab wo Mere har sawal ka jawab wo
Men usse parhoon tamaam umar Meri hayat ka nisaab wo
Meri har dua uss ke liay Meri ibadaaton ka sawaab wo
Men saara din ussi men magan Meri har raat ka khawaab wo
Likhoon aur kya men uss ki zaat per Meri zindagi ka rubaab wo.
---------
|